Study Spot
Customized learning paths based on interests
Namaste Reunka ji, bacche gender related dhaarnaaye bhot jaldi bannane lgte hai kyuki voh apne aas pass aisa hi dekhte hai. Toh aap jitna jaldi ho sake utni jaldi baat karna shuru kar skti hai par yaad rakhe ki bacha jis baasa mai samajh skta ho ushi bhasa mai baat kare, aur aise hi topic chunne jisse baccha samjh skta ho. Jiase ki agar ladka bol raha hai ki ladki ki tarah rona nahi chayiye, toh voh agar 5 saal ki umar mai yeh samajh rakhta ho toh aap ushi umar mai ish cheez par baat kare aur unhe kahani, games, videos ke maadyam se yeh samjhaye. Hum 6 saal ki umar se baaccho se puri tarah se gender ka baat krte hai par saralta se baat krte hai jinse unhe samajh aaye aur unh muddho par baat krte hai joh voh sheekh rahe hai ush umar mai.